Kabhi Mujhko Saath Lekar... - Hindi Shayari

Monday, 26 March 2018

Kabhi Mujhko Saath Lekar...

Kabhi Mujhko Saath Lekar Kabhi Mere Saath Chal Ke,
Wo Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Ke.

Huye Jis Pe Meharbaan Tum Koi KhushNaseeb Hoga,
Meri Hasratein Toh Nikli Mere Aansuon Mein Dhal Ke.

Teri Zulf-o-Rukh Ke Qurbaan Dil-e-Zaar Dhhoondta Hai,
Wahi Champai Ujaale Wahi Surmayi Dhundhalke.

Koi Phool Ban Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara,
Jo Chiraag Bujhh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke.

Mere Dosto Khudaara Mere Saath Tum Bhi Dhhoondo,
Wo Yahi Kahin Chhupe Hain Mere Gham Ka Rukh Badal Ke.

Teri BeJhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila,
Ye Nagar Hai Aayino Na Yahan Saans Le Sambhal Ke.
~ Ahsaan Danish

Share with your friends

Add your opinion
Disqus comments
Notification
This is just an example, you can fill it later with your own note.
Done