Bujhi Najar Toh... - Hindi Shayari

Monday, 26 March 2018

Bujhi Najar Toh...

Bujhi Najar Toh Karishme Bhi Rojo-Shab Ke Gaye,
Ke Ab Talak Nahi Palte Hain Log Kab Ke Gaye.

Karega Kaun Teri Bewafayion Ka Gila,
Yahi Hai Rasme-Zamana Toh Hum Bhi Ab Ke Gaye.

Magar Kisi Ne Humein HumSafar Nahi Jaana,
Ye Aur Baat Hai Ke Hum Saath Saath Sab Ke Gaye.

Ab Aaye Ho Toh Yahan Kya Hai Dekhne Ke Liye,
Ye Shahar Kab Se Hai Veeran Wo Log Kab Ke Gaye.

Girafta Dil The Magar Hausla Nahi Haara,
Girafta Dil Hai Magar Haunsle Bhi Ab Ke Gaye.

Tum Apni Shamme-Tamanna Ko Ro Rahe Ho 'Faraz',
Inn Aandhiyon Mein Toh Pyare Chirag Sab Ke Gaye.
~ Ahmad Faraz

Share with your friends

Add your opinion
Disqus comments
Notification
This is just an example, you can fill it later with your own note.
Done