Main Khil Nahi Saka Ki Mujhe Nam Nahi Mila,
Saqi Mere Mizaaj Ka Mausam Nahi Mila !
Mujh Me Basi Huyi Thi Kisi Aur Ki Mahak,
Dil Bujh Gaya Ki Raat Wo Barhum Nahi Mila!
Bas Apne Samne Zara Aankhe Jhuki Rahi,
Varna Meri Anaa Me Kahin Kham Nahi Mila!
Us Se Tarah Tarah Ki Shikayat Rahi Magar,
Meri Taraf Se Ranj Use Kam Nahi Mila !
Ek Ek Kar Ke Log Bichhadate Chale Gaye,
Ye Kya Hua Ke Wakfa-e-Matam Nahi Mila !