Hindi Shayari: Dosti Shayari
Showing posts with label Dosti Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dosti Shayari. Show all posts

Monday, 26 March 2018

Hum Wo Phool Hain...

Hum Wo Phool Hain...

Hum Wo Phool Hain Jo Roz Nahi Khilte, 
Yeh Wo Honth Hain Jo Kabhi Nahi Silte, 
Hum Se Bichhdoge To Ehsaas Hoga Tumhe, 
Hum Wo Dost Hain Jo Roz Roz Nahi Milte!
Sabse Alag Sabse Nyaare...

Sabse Alag Sabse Nyaare...

Sabse Alag Sabse Nyaare Ho Aap, 
Tareef Kabhi Poori Na Itne Pyaare Ho Aap! 

Aaj Pata Chala Zamana Kyun Jalta Hai Mujhse, 
Kyunki Dost To Aakhir Humare Ho Aap!
Log Kahte Hain Zamin Par...

Log Kahte Hain Zamin Par...

Log Kahte Hain Zamin Par Kisi Ko Khuda Nahi Milta, 
Shayad Un Logon Ko Dost Koyi Tum Sa Nahi Milta ! 

Kismat Walon Ko Hi Milti Hai Panaah Kisi Ke Dil Me, 
Yun Har Shakhs Ko To Jannat Ka Pata Nahi Milta ! 

Apne Saaye Se Bhi Zyada Yakeen Hai Mujhe Tum Par, 
Andheron Me Tum To Mil Jaate Ho Saya Nahi Milta ! 

Is Bewafa Zindgi Se Shayad Mujhe Itni Mohabbat Na Hoti, 
Agar Is Zindgi Me Dost Koyi Tum Jaisa Nahi Milta !!

Hum Dost Banakar Kisi Ko...

Hum Dost Banakar Kisi Ko Rulate Nahi, 
Dil Me Basakar Kisi Ko Bhulate Nahi, 
Hum To Dost Ke Liye Jaan Bhi De Sakte Hain, 
Par Log Sochte Hain Hum Dosti Nibhaate Nahi!


Ishq Aur Dosti Meri...

Ishq Aur Dosti Meri 
Zindgi Ke Do Zahan Hain, 

Ishq Meri Rooh To 
Dosti Mera Imaan Hai, 

Ishq Pe Kar Doon Fida 
Apni Saari Zindgi, 

Magar Dosti Pe To 
Mera Ishq Bhi Qurbaan Hai !!


Dosti Ke Do Pal...

Dosti Ke Do Pal...

Kis Had Tak Jana Hai Ye Kaun Janta Hai, 
Kis Manzil Ko Pana Hai Ye Kaun Janta Hai ! 

Dosti Ke Do Pal Jee Bhar Ke Jee Lo, 
Kis Roz Bichhad Jana Hai Ye Kaun Janta Hai !
Dost Samajhate Ho To...

Dost Samajhate Ho To...

Dost Samajhate Ho To Dosti Nibhate Rahna, 
Hame Bhi Yaad Karna Khud Bhi Yaad Aate Rahna, 
Humari To Har Khushi Dosto Se Hi Hai, 
Hum Khush Rahe Ya Na Aap Yu Hi Muskurate Rahna!

Photography

[Photography][recentbylabel2]

Anime

[Anime][recentbylabel2]
Notification
This is just an example, you can fill it later with your own note.
Done